Jai Chitra Gupt JI

Jai Chitra Gupt JI
Global Kayasth Family -GKF

Sunday, May 6, 2012

wah hai hamara najariya yani (attitude)

ek aadmi mele me gubbare bechkar apni gujar basar karta tha.uske paas lal hare nile pile charo color ke gubbare the jab kabhi uski bikri kam hone lagti thi to wah helium gais se bhara gubbara hawa me chhod deta tha aur bachhe use udta dekh kar waisa hi udne wala gubbara pane ke liye machal uthate the
aur uski bikri fir badh jati thi ek din jab wah gubbare bech raha tha to usne mahsus kiya ki pichhe se kisi ne uska kurta khicha usne mud kar dekha ek bachhe ko khada paya us bachhe ne gubbare wale se puchha "agar aap kala gubbara chhodoge to kya wah v udega?" bachhe ki baat uske dil me lagi aur usne jabab diya , "bete gubbara apni rang ki wajah se nahi udta, balki uske andar kya hai , wah is wajah se upar jata hai .".......................

thik yahi baat hamari jindgi pe v lagu hoti hai kimti wah cheej jo hamre andar hai aur wah cheej jo hame upar ki or le jati hai wah hai hamara najariya yani (attitude)


No comments:

Post a Comment