U ankdhero me khud ko kaid na kar
Teri muskilo ki bhi subah aayegi
Ek waqt nahi rahta har waqt ke liye
thoda intjaar kar Is waqt ki tasveer
kuch waqt me alag najar aayegi
Har khwahishe puri hoti nahi har kisi ki
Bus khud ki khushiya talas kar khud se
Phir adhuri khwahisho ki puri tasveer
Kisi aur parchaai me jhilmilayegi.
Zindgi ke samandar me tairta hai tu
Yad rkh teri bhi kasti sawar jayegi
Kiski zindgi me har waqt ghane baadal hai
Thoda sabar rakh, sitaro ki chamak
Tere bhi daaman me timtimayegi
Kho de bharosa sabse se magar tu
Khud ka bharosa na khona khud se
Zindgi jine ka tareeka to hamne
pahli kadam se hi sikha tha
Jab gire the kuch kadam par
aur uth kar phir aage badna sikha tha
Tab jo bharosa dikhaya tha khud pe
wo bharosa rakhna umra bhar
Safar kathnaiyo me hai to kya huaa aaj
.wo bhi kat jayengi bus thoda intjaar kar.
source-Mayank Shrivastava
No comments:
Post a Comment