Lehron se dar kar nauka paar nahi hoti
himmat karne waalon ki haar nahi hoti
Nanhi cheenti jab daana lekar chalti hai
chadhti deewaron par sau baar fisalti hai
Mann ka vishwas ragon mein saahas banta hai
chadh kar girna, gir kar chadhna na akharta hai
Akhir uski mehnat bekar nahi hoti
koshish karne waalon ki haar nahi hoti…
Dubkiyan sindhu mein gota khor lagaata hai
ja ja kar khaali haath laut aata hai
Milte na sahaj hi moti paani mein
badta doogna utsaah issi hairaani mein
Mutthi uski khaali har baar nahi hoti
himmat karne waalon ki haar nahi hoti…
Asafalta ek chunauti hai sweekar karo
kya kami reh gayi dekho aur sudhaar karo
Jab tak na safal ho neend chain ki tyago tum
sangharshon ka maidaan chhodh mat bhago tum
Kuch kiye bina he jai jai kaar nahi hoti
himmat karne waalon ki haar nahi ho
( Harivanshrai Bachchan)
By Alok Srii
No comments:
Post a Comment